Stambhit hua, kampit hua,
Tere baton ko sun stabhd main,
Jawab bin nishabd main
Haan aaj fir chintit hua!!!!
Kya chaha aur kya paaya hun,
Kyun na chala dhadkahon ko sun,
Majboor hua kis soch me,
Kismat hai kiske daboch me?
Kyun jindagi yun beh rahi?
Na kuch wo mujhse keh rahi,
Khamoshi hai sannata hai,
Chintan ka chubhta kaanta hai
Kis or chalna hai mujhe?
Andher hai ya hai diye bujhe?
Kya pragati ki yehi raah hai?
Ya badli hui meri chah hai?
Jis mod par main hun khada,
Jane kitne mushkilon se hun lada,,
Kya chal sakun sang na pata,
Par samajhna na ise meri khata.
Adhikar tujhpe bhi hai kahan,
Jiska suna sa hai jahan,
Khone ka dar kabhi tha nahi,
Pane ki aadat bhi ab hai kahan!!!
Chakit hua, Chanchal hua,
Adbhut tere in khayalon se,
Uttar rahit sawalon se,
Haan aaj fir chintit hua!!