Kuchh batein jo ankahi si reh jati hain,
Khamosh wo palkein thirak thirak ke kuchh kehna chahen,
Par fir bhi ashk jo ankhon me hi reh jate hain.
Dil me hai josh naya umang naya magarr,
Jajbaton par ab unka nahi hota hai asar,
Hua hai kuchh is baat ka ehsaas to hai par,
Un baton ko suljha na sake hum bhi chahkar.
Vyarth koshishen aashaon k tod hain rahe,
Naye raahein bhi jane kyun muh mod hain rahe,
Ankahi wo batein aaj bhi kuchh na kahe,
Sukhe hain nain taki ashk aaj bhi na bahe.
Rahon me mile naye log aur nayi rahtein,
Bhul gaye purane sang purani chahtein,
Par fir bhi jab wo aaj bhi kuchh hai bolti,
Ankahi ansuni batein rokti muskurahatein.
Chahat ne dhundh li raah nayi ummeed bhi naye,
Bhul purani batein hum aage badh gaye,
Badal diya jajbaton ka rukh rote hum nahi,
Aate jate dinon ko khushiyon se jee hum rahe,
Fir se kisi purane ne ek din yaad kar,
Chintit kiya hame kya hoga iska asar?
Niklenge kya to baat jo kabhi na tha kaha?
Yaad aayenge kya ashk chale the jinko bhulkar?
Na hua kuchh aisa mujhme main reh gaya atal,
Keh di batein hamne hamse jo chubhte rahete the pal pal,
Kahin mujhe aram mila kahin uska dil dukha,
Kabhi to use sukun mila jab tuta mere khwabon ka mahal.
Kuchh gham mile kuchh khushiyan aur ek ehsaas hua
Chahte nata tuta ho ya bhula wo pichhla jo tha hua,
Aage badhne k raah me fir bhi thokar hun tab tak khate hain,
Jab tak ankahi baton ko kehke sukun hum nahi pate hain.
Ankahi baton ko kehne se man holka hota hai,
Ankahi baton ko sun dil aakhri aansu rota hai,
Bharmukt hokar hi fir hum jeete naya jeevan,
Aane wala har pal har kal fir sukhad hota hai.

